Wednesday, March 28, 2012

Words are overrated

Hamari khamoshi ko woh samajhte hain ghuroor...
Darasal sharmindagi ne kiya hamein majboor...

Arrey woh naadaan kya jaanein...
...ki jahaan ek lafz se kaam chal jaaye,
wahan do kyon?

A couplet

Intezaar tha jiska shiddat se...
Tammanna thi jiski muddat se...

Woh hamesha ird gird hi tha...
Shaayad hamaare parakh ka kasoor tha...

Woh hamara ban kar bhi...
Hamara na ban saka...